De gaye kisko saza aur khata kiski thi !!!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
Zakhme tanhaai mein khushbu-e-Hina kiski thi,
Saya deewaar pe mera tha sadaa kiski thi !!!!!


Aansu se hi sahi bhar gaya daaman mera,,
Haath to maine uthaaye,dua kiski thi !!!!!


Meri aahon ki zubaan koi samajhta kaise,
Zindagi itni dukhi mere siva kiski thi, !!!!!


Chhor di kiske liye tune saari duniya,
Justju si tujhe har waqt bata kiski thi !!!!!


Uske aane ki chaah mein bechhein rahin meri aankhein,
Usne mudd kar bhi na dekha, wafa kiski thi, !!!!!


Aag se dosti uski, jala ghar mera
De gaye kisko saza aur khata kiski thi !!!!!
 
Top