chup chaap apni aag meiN jalte raho “Faraz”

~¤Akash¤~

Prime VIP
kyaa aise kam-suKhan se ko’ii guftaguu kare
jo mustaqil sukuut se dil ko lahuu kare

ab tau hameN bhi tark-e-maraasim kaa dukh nahiiN
par dil ye chaaHtaa hai ke aaghaaz tuu kare

tere baGhair bhi tau Ghaneemat hai zindagii
Khud ko gaNwaa ke kaun terii justujuu kare

ab tau ye aarzuu hai ke wo zakhm khaa’iye
taa-zindagi ye dil na ko’ii aarzuu kare

tujh ko bhulaa ke dil hai wo sharminda-e-nazar
ab ko’ii hadisaa hi tere ru-ba-ruu kare

chup chaap apni aag meiN jalte raho “Faraz”
duniyaa tau Gharz-e-haal se be-aabruu kare
 
Top