choroo bus uss dua ki baat na humse pucho...!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
mere mehboob ki baat na pucho,
kya hai usmen yeh raaz na pucho..
hai ek ada uski muskurahat mein,
deewana kyu bana deta hai na pucho,..
...
hai kya nasha uski deewangi mein
ye yaaron bus humse na pucho,
kyu chura leti hai ek nazar uski
har dil ko yeh baat bus humse na pucho,..
..
hai kitna hi dilkash ye deewana
is kambakhta ki baat bus na pucho,
dil gawa baithta hai har koi isse
tum nazrein milane ka anjaam na pucho,
...
aata hai hoonar dil jeetne ka uss nadaan ko
aati hai kya adaa na pucho,..
kyu dil machal jata hai uske chehre ke noor se
yeh baat yaaron na pucho,..
...
uski shaksiyat mein khuda ki seerat hai basti kitna
mujhe hai iska yakeen na pucho,
khabar ho jayegi sabko aise uske mehfil mein
uske naam ko yaaron mujhse na pucho,
...
dil mein basa rakha hai maine jisko zamane ko bhula ke
kitni hai mohabat yeh baat na pucho,
kya aati jaati saason se dua nikalti hai meri uske liye
choroo bus uss dua ki baat na humse pucho...!!!
 
Top