chehre ki ek jhalak k liye tarse

~¤Akash¤~

Prime VIP
wafaa to humne aai doston unse hamesha kiya..
bs unko apni chahat ka na kabhi itaalla kiya..

sochte rah gaye hamesha..
ki kabhi to zalim yeh samjhegi..

kabhi to meri mohabbat parwan chardegi..
aur kabhi to wo khud aa mujhse mil baithegi..

kiya to maine ek muddat bhar unka intezaar..
bs kabhi na keh sake unse karte hain unse kitna pyaar..

wo to shayad masoom nikale..
ki na kabhi hamaare pyaar ko samjh sake..

ya shayad sochate rahe ki kabhi karenge hum unse apne mohabat ka izhaar-e-bayan..
par ai kaatil tum kyo na samjh sake hamaare mohabat bhare un isharon ko..

gum aaj bhi humein hota hai jb wah daur yaad aata hai..
khafa hote hain aaj bhi hum khud pe jb sang apne unki yaadein laata hai..

aai malik mere tu hii bata mujhe..
kyo kar gayi wo humse bewafaai..

kiya jis se hamesha humne sacchi wafaa ka waada..
kyo badal gayi wo apna iraada..

aaj bhi unke intezaar mein hum rasta takte baithe hain..
sach kehte hain yaaron usi masoom chehre ki ek jhalak k liye tarse hain..
 
Top