chamkte chand ko niharte hai,sekdo sitare,

Saini Sa'aB

K00l$@!n!
chamkte chand ko niharte hai,sekdo sitare,
par chand ki nigahen,apni chandani par hai.
sabke nasib me nahi, wo ek chand,
par rehta hai sitaron ke dil me,bankar yaad
khushnasib hai wo chandani,jise mila hasin chand ka saath.
sitaron ka kya, khud tutkar
karte hai tamannain auron ki puri,
chahe unki apni zindagaani rahi adhuri.
par khushi ka ehsaas to hai unko,
ki hamara fanna hona kisi ke kaam to aaya.
wo chand kya samjega, un bezubaan sitaron ko,
jisme kabhi nazar bharkar, dekha bhi na unko.
apni chamak ke aage, bona samja sitaron ko.
wo kya jane, kad se unche sitaron ke zajbaat hai.
jo har raat chale aate hai, chand ko niharne ko.
chhupakar apne seene ka dard,
timtimate hai chand ke saath, jagmagaane ko.
chand ki bhi apni mazburi hai,
wo to ek hai sitaren sekdon,
kya kare wo, jab uski taqdir me likhi chandani hai.
aakhir chand sabhi ko mil nahi sakta,
isiliye vidhata ne sekdon sitare banaye,
har koi samajh sake unko apnaa,
mahsus kare apno ke saath ka ehsaas,
isiliye tut te sitare, unko pahunchana hai kisi apne ke paas
 
Top