chaha tha tujhe, magar yeh tanhaai mera baalam ban chuki hai

~¤Akash¤~

Prime VIP
Ik anjaani rahguzar par chal raha hoon main..
chuppa hua hai aftaab. andhera hi andhera hai,
phir yeh kis tapash mein jal rahaa hoon main?
naah umeed hai koi naah hai koi aasha,
..
ye andhere dekh rahe hain meri barbaadi ka tamasha..
ik mazaak sa lagne lagi hai zindagaani ab..
chaahat hai ki khatam ho jaaye yeh kahaani ab..
magar chahate agar poori hoti, to hum is mauqaam par na hote..
rone se agar gham mit-ta to hum phoot phoot kar rote..
ye dard ab mera alam ban chuki hai..
chaha tha tujhe, magar yeh tanhaai mera baalam ban chuki hai..
 
Top