bura na mano holi h.........

Rangon ki Holi
Doston, is parv mein phailey hai rang saarey
Pichkari sang khelo Holi, ya ley aao gubarey
Choti Choti baatein hai, choti choti khushiya
Tum bhi jara haslo aaj, jab hasti yeh duniya
Na bura socho kisika, na rakho kisi se irshya
Karo kuch aisa, ki lage rang lai hai shiksha

Holi Hai
Dil ne ek baar aur humaara kehna maana hai,
Is holi pe phir useh rangne jaana hai.

Har saal khareeden hain rang, kari hai tayaari,
Is baar to khelenaa humaare saath, dekhnaa raah humaari.

Shahar mein sabse pooch rahe hain , rang-e-mohabbat kahaan milega
Raat ko khuda ne bataaya ki abhi aur imtehaanon se guzarnaa parega


Neela, hara , peela , gulaabi yeh sab to ek bahaana hai,
Holi ka ho din ya kuch aur hume to tumse milne aana hai

Is Holi pe useh rangne jaana hai,
Is Holi pe useh rangne jaana hai
 
Top