bichhar ke zinda nahin reh sakenge hum donon

~¤Akash¤~

Prime VIP
Bade naam sahi koi meherbaan to hai
hamaare sar pe bhi hone ko aasman to hai

yeh aur baat ke woh ab yahaan nahin rehta
magar yeh uska basaaya hua makaan to hai

alaawa iske na kuch aur parda rakh mujhse
faseel-e jism mere tere darmiyaan to hai

bichhar ke zinda nahin reh sakenge hum donon
mujhe yeh waham to hai unko yeh gumaan to hai
 
Top