Bewafa zindagi ka aeitbar ab kiya nahi jata

~¤Akash¤~

Prime VIP
Tota hua sheesha phir jora nahi jata,
Ankh se nikla hua aansoo phir wapis nahi ata.
Tum to keh ke bhool chuke ho sab kuch,
Lekin humse wo pal bhulaya nahi jata...

Muhobbat ne teri zanjeerain dali hain aisi,
Ke churana bhi chahoon to churaya nahi jata,
Mehfil mein bhi mujh ko tanhayi nazar ati hai,
Tere bin ye dil kaheen or lagaya nahi jata...

Dil ki dewaroon pe meri ek tera hi naam likha hai,
Mitana bhi chahoon to mitaya nahi jata,
Saans rukne se pehle aik jhalak dikha jana,
Bewafa zindagi ka aeitbar ab kiya nahi jata
 
Top