Beta aap kal ho hamaara

Saini Sa'aB

K00l$@!n!
Beta aap kal ho hamaara
aur hamaare ateet ka
mera maan samman, tumhi to
mera ati abhimaan ho _
so sambhalna khud ko.
Chalna yoon ke
sthir kadam ho, aur nazar bhi
mile bhoot ko sheetal chaon tumhi se
aur bhavishya khada ho
ek saksham, sanyam si neenv par.
Beta aap kal ho hamara.
Jo puccho kya chali main thi isi ada se?
to main hoonkar bharoongi,
par jatil jeevan path, tha durgam
aur shareer bhi to ab
durbal pada hai,
dhoomil pad chuki hai kaya
nahi bachi koyi aastha,
aasha, akansha bhi shesh nahin hai.
Ab to niyati par yun taak lagi hai -
jane kab palataye kismet yeh
jane kab bejan ho geere
had maas ka nirbal dhancha
ek din, jane kab…
So chahti to hoon
kahoon tum se main-
ki bas phool biche rakhe hain beta
tumhari rahon mein
kyonki har kante ko chun
ujjaad phenka hai, ,maa ne unhen
buhar phenka hai door kuch itna ki
koi machalti byaar kabhi bhi
na uda la paye unhen
tumhare komal talwon ke tale.
Yatharth magar pare likha hai.
So jano tum Beta –
phirse jab hawa chalegi
tumhare laghu jeewan mein
badmast kabhi hogi -
jhulasati, chinghaadti
to kabhi purwayi ki khunak lagegi.
Ugenge, choobhenge nishchit hi
kante phir se,
aur phool kabhi komal sparsh bhi honge
zindagi ki rah jatil badi hai -
beta hota mod naya hi har din
bas baat yahi ek satya khari hay.
So mudo jab jis taraf, jis bhi dagar pe
jaan ye lena, aur maan bhi lena
dharam apna bas hai chalte jaana
yeh kadam pad chule kissi simit jo beta
samajho purnaviram nahin door
manzil tum se thode pag aur
paas khadi hai.
Tum mera avhimaan ho Beta.
 
Top