beta.....

kis se kya shikayat karein,
jeevan hi kuchh adhura hai,
kehte ek-karte ek sabhi,
kaise kahe jeevan pura hai,
behan jawan ghar mein baithi,
bhai prem vivah rachata hai,
kya biti hogi mann par,
kya kabhi tu sochta hai,
gareeb maa-baap ghar par
baithe,
soche beta humhara samajhdaar
hai,
kya hoga unke vishwaas ka,
jab unko tune tukhraya hai,
aas ki naiyya dol rahi,
vishwaas ka khoon ho raha,
beta to sukh se rah saka par,
aansoon maa-baap ko pila raha.
 
Top