Beparda Ishq hu main, mera bhi koi jawaab nahin

~¤Akash¤~

Prime VIP
Suna hai nazakat mein tu sabse dilnasheen hai
Itrane ka fakat ye bahana dekho sahi nahin hai
Maana teri Aankho si gehri koi sharaab nahin
Ishq ka aaina hu main, mera bhi koi jawaab nahin...

Bahaaron ke haath kaaynat ne tujhe ye paigam diya hai
Aashiqo.n ki anjuman ne mujhe Dewaana naam diya hai
Maana aisa deewana teri nazar mein lajawaab nahin
Mehfilon ka afsana hu main, mera koi jawaab nahin..

Teri ek jhalak ko beshak taraste honge lakh hazaar
Ishq ki adalat mein tere kaaran honge kai gunahgaar
Tere sajde mein jhukne walon ka maana koi hisaab nahin
Beparda Ishq hu main, mera bhi koi jawaab nahin
 
Top