beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa

beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa
tum bhii auron kii tarah mujh se judaa ho jaanaa

main bhii palakon pe sajaa luuNgaa lahuu kii buuNden
tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa

Khalq kii sang_zanii merii Khataaon kaa silaa
tum to maasuum ho tum duur zaraa ho jaanaa

ab mere vaaste tariyaq hai ilhaad kaa zahar
tum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho jaanaa
 
Top