Be_wafaaon ko apnii wafaayein na de,

Be_wafaaon ko apnii wafaayein na de,





Duusaron ko hamaarii sazaayein na de,
Chaandni raat ko bad_duaayein na de,
Phuul se aashiqii ka hunar siikh le,
Titaliyaan khud rukein_gi sadaayein na de,
Sab gunaahon ka iqraar karne lagein,
Iss qadar khubsuurat sazaayein na de,
Motiyon ko chhupaa siipiyon kii tarah,
Be_wafaaon ko apnii wafaayein na de,
Main bikhar jaauungaa aansuuon kii tarah,
Iss qadar pyaar se bad_duaayein na de,
 
Top