basar hotii hai raat

puuchhate ho to suno kaise basar hotii hai
raat Khairaat kii sadqe kii sahar hotii hai

saaNs bharane ko to jiinaa nahii kahate yaa rab
dil hii dukhataa hai na ab aasteen tar hotii hai

jaise jaagii hu_ii aaNkhon mein chubhe kaaNch ke Khvaab
raat is tarah diivaanon kii basar hotii hai

Gam hii dushman hai meraa Gam hii ko dil DhuuNDhataa hai
ek lamhe kii judaa_ii bhii agar hotii hai

ek markaz kii talaash ek bhaTakatii Khushbuu
kabhii manzil kabhii tamhiid-e-safar hotii hai


--markaz=focus; tamhiid=prelude/preamble--
 
Top