badan men aag sii

badan men aag sii cheharaa gulaab jaisaaa hai
ke zahar-e-Gam kaa nashaa bhii sharaab jaisaa hai

kahaaN vo qurb ke ab to ye haal hai jaise
tere firaaq kaa aalam bhii Khvaab jaisaa hai

magar kabhii ko_ii dekhe ko_ii paDhe to sahii
dil aa_iinaa hai to cheharaa kitaab jaisaa hai

vo saamane hai magar tishnagii nahiin jaatii
ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisaa hai

'Faraz' sang-e-malaamat se zaKhm zaKhm sahii
hame.n aziiz hai Khaanaa_Kharaab jaisaa hai

 
Top