Badal ki khidkiyo se jhakta suraj

Saini Sa'aB

K00l$@!n!
Badal ki khidkiyo se jhakta suraj
Uttar se aati havao ki thandak
Rahe mausam sada bharoon jaisa bhi
Ek sapna aisa bhi ek sapna aisa bhi
Khusiyaan na rahe mahmano si
Har darvaje dhastak ho pahchani si
Khile rang cheroon ka gulaboo jaisa bhi
Ek sapna aisa bhi ek sapna aisa bhi
Sharhad par gunjti topo ki aawaz
Kaas khatm ho jaye ye khuni riwaz
Chal sharhadoon par riwaz bhaichare jaisa bhi
Ek sapna aisa bhi ek sapna aisa bhi
Diloo main komalta kamloo si ho jaye
Har aadmi ka ristaa har aadmi se ho jaye
Bane dil bada himalaya jaisa bhi
Ek sapna aisa bhi ek sapna aisa bhi
Har jeev par sharsti ki barabar chaya hai
Phir kyon insanoo main dvesh samaya hai
Mile har jeev ko moka ek jaisa bhi
Ek sapna aisa bhi ek sapna aisa bhi
 
Top