baahon main wo aa jaaye main un ko mana loonga

~¤Akash¤~

Prime VIP
wo saamne aaye to nazron ko jhuka loonga
dekhoonga nahi phir bhi tasweer bana loonga

aana ho to aa jaao ruswaayi nahi hogi
dekhega nahi koi palkon main chupaa loonga

jo hum per guzarni hai ik baar guzar jaaye
har gham ki tarah tujh ko seene se laga loonga

weeraan agar dil ho aankhon main andhera ho
yaadon ke diye apni palkon main sajaa loonga

manzoor agar hogi ruswai teri mujh ko
main baith ke saahil se toofaan utha loonga

naaraaz agar wo hain mere nasheman se
main apne nasheman ke tinko ko hata loonga

kyon mujh se khafa ho ker wo door gaye
baahon main wo aa jaaye main un ko mana loonga
 
Top