aye- waqt tuune mujhe , samjhota karna seekha diya ..!!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
Har thokar ne meri mujh ko chalna seekha diya
mere aankh ke ashqo ne ,khud per hasna seekha diya ..
...
Nadiya ke paani ne mujh ko ,chalte rehna seekha diya
baarish ki boondo ne mujh ko , gir ke bikharna seekha dya ..
..
Aasman ke panchi ne , mujhe udnaa seekha diya
aur sarso ke kheto ne , jameen pe rehna seekha diya ..
..
Aap ki mohabaat ne, mujh ko jeena seekha diya
aap ki khamoshi ne , gam ka rasta deekha diya ..
...
Jazbaato ne mujh ko , rona seekha diya
aye- waqt tuune mujhe , samjhota karna seekha diya ..!!!!
 
Top