Aur phir khud hii nayi aag laga detaa hai.......!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
Woh kaisa shaks hai k har roaz saza deta hai
Pher hansta hai woh itna k sab bhula deta hai

Kabhi jo ro de to mujhe b bhool jataa hai
aur pher bhool k mujh ko b rula deta hai

Hamaaray pas na aane ki kasam kha kar woh
"Aaja" Likhate hai woh, khaghaz pay urra deta hai

Ussay poocho k bata kis say muhabbat hay tumhay
nam sargoshi mai mera hii suna detaa hai

Kabhi kehta hai chalo saath hamesha mere
chal paroon saath to raasta hii phira deta hai

Khud hii kehta hai na dohraao purani yaadein
may na dohraaoo to pher khud hii sunaa deta hai

Khud hii likhta hai ke jazbaat mai hulchul na karo
Aur phir khud hii nayi aag laga detaa hai.......!!
 
Top