asmano ki khabr rakhta hun.

~¤Akash¤~

Prime VIP
Koi Dewar na dar rakhta hun
ghar ka ahsas magar rakhta hun

log rakhte hain charagon pe nazr
main hawaon pe nazar rakta hun

kyon na pathrou karen sab mujh par
sakh der sakh samr rakhta hun

ek nai simt janam leti hai
paon main apne jidhar rakhta hun

ye zamin cheez hai kya main
asmano ki khabr rakhta hun.
 
Top