Armaan

aao torh de duniya ki sari rasmo ki deevaarein
kuchh is tarah se dil dil se byaan ho jaye

ek hi baar bol do kya dil ki bechaini tamaam
kya pata khuda ki nazar meharbaan ho jaye

chhorh aao ek din khuda ka khauf bhi kahin
kya pata yeh kadam khushi ka samaan ho jaye

bhool jayo ek din uske ghar ka raasta jaanboojhh
ho sakta hai uska ghar sara jahaan ho jaye

kisi ke ishak mein to tu mash-hoor hai hee
ek baar khuda ke ishak mein bi naam ho jaye

de do khushi jise jese bhi chahiye ho dost
ho sakta hai teri yeh daya badnaam ho jaye

aakhir tak hosh ko paas rakh k bhi kya karoge
ek din is hosh ko bhi aakhri salaam ho jaye

kon kehta hai behoshi mein mujhe ibaadat nhi aati
ho na ho sara nasha khuda ke naam ho jaye

jo jhhooth chhipe rehte hain bojh ban k dil me
kisi ke paas ek din woh sach sreyaam ho jaye

hota hai jo ho jaye is raaz-e-dard ke asoolon ko
jo nhi khatam hota poora woh armaan ho jaye
 
Top