apne naseeb mein wohi andheri gufayen hai...!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
pathar ke shehar mein dil bhi pathar ke paye hai
murda yahan har shaksh hai saans lete saaye hai

sadkon ke jaal mein uljha hua har aadmi hai
dhuyen ke gubaar mein dam todti hawayen hai

roti ki chakki mein zindgiyaan pisti dekhi hai
mehngai ke shikanje mein bebas tamannayen hai

behisaab aabadiyon ka har taraf huzoom hai
saath koi hamdam hai na kisi ki duayen hai

door tak bikhre roshniyon ke kaarwan hai
apne naseeb mein wohi andheri gufayen hai...!!!
 
Top