apne mohobbat ko khud humse alwida kehelwaya hai...

~¤Akash¤~

Prime VIP
apne mohobbat ko khud humse alwida kehelwaya hai...
kuch is tarah khuda ne hume raham farmaya hai...
phir dua mangi ki jindagi ko phir pyaar se roshan karde...
hame sadko ka diya banakar sari raat jalaaya hai...

humne kaha ek baar khushiya hume udhar de de...
to humne apne aasuon se agle pal ko bitaya hai...
jab hosh aaya ki aasuon ka bhi hisaab dena hoga...
to use humne khoon ke bundon se chukaya hai....

kya zikr kare hum khuda ke rahamon karam ka...
khamoshi se jisne aaj tak humpe julm hi dhaya hai...
log kehte hai wo der karta hai meherbani karne mein...
ab kya kho de jab pane ki chah mein khud ko lutaya hai...

ab to shayad mouth bhi dega to udhari badha lega...
wakai dena baki hai shayad isliye sason ko bachaya hai....
ab kehte hai log ki intejaar karle zara to jannat milega...
par ye dil ko to maza jyada is dard se aaya hai...

aadat si ho gayi hai ab hume yun hi gujar janeki....
aarzoo na rahi nigahon mein kabhi jannat nazar aane ki...
mehfilon ne hume wah wah keh kar rulaya hai...
har lafz ko log sher kehte hai jo ye dard humne paya hai
 
Top