apne har asnk ko sine mein dabaye rakha, ashk aaye bhi to pa

~¤Akash¤~

Prime VIP
apne har asnk ko sine mein dabaye rakha,
ashk aaye bhi to palko mein chipaye rakha,

tu yuhi lout k aa jati kbhi chalte-chalte
humne palko ko teri raha mein bichaye rakha....

humko manjur tha sanam tera rah-e-bhram,
haath chuta bhi toh rishto ko banaye rakha

tere darbar mein ho jaye kis lamhe kabul
yahi soch kar dast-e-dua phelaye rakha..

tumne ek pal mein mere khwab ko tod diya..,
maine ek umar jhinne dil mein chipaye rakha...

dil dhakadne ka sabab hai faqat ki naam tera
humne is tarah tujhe khud mai samye rakha...

tu mujhe bhul gayi hai magar e jaan-e-wafa
teri chahat ko ab bhi sine mein basaye rakha..,
 
Top