alpha beta gamma

rajesh1

Rajesh Sharma
alpha padha beta padha aur padh liya gamma
sare ke saro ko padh liya ,
jab kuch samajh naa aaya
to naam rakh diya alpha beta gamma.

confusion jab paida hua kya hoga inka naama
fir scientisto ne socha ki kuch naa aaye ,
to naam rakh do alpha beta gamma..

alpha ne pucha beta se beta ne pucha gamma se
kyo hum kasurvar kelate hai,
bacchho ki samajh me jo na aaye
vo alpha beta gamma hi kyo kehlate hai.....

By:Rajesh Sharma
 
Top