alfaaz ro rahe they aaj hamare apna gum sunane ke liye

~¤Akash¤~

Prime VIP
Ajiz hogaye they hum her dard ko seene se lagane ke liye
alfaaz ro rahe thy aaj hamare apna gum sunane ke liye

kitni mayos aur preshaan thi hamari aankhe
dondhti thi koi sathi apna gum batane ke liye

tut ke roya hai dil kaleja cheer cheer hogaya
kat rahi hai zindagi ab ansoo bhane ke liye

jiski khatir hum muskorana bhi bhool gaye
wo mila tha aaj hame fir se rulane ke liye

hum to chle uske waste gumnaam raaho par bhi
kar diye band sab darwaze usne apna moo chupane ke liye

dard ki raah mein wo mujhe ye kahan laya hai
dhondte hai ab hum nisha waps aane ke liye

hum ne socha bhi na tha ye hoga hamre pyaar ka anjaam
hum tu nikle thy saath unke saath janam nibhane ke liye

thaam kar haat tera hum tu bhool gaye they dunya ki rangat
chord wo gaya hame apni haqeeqat batane ke liye

tere waste to mit rahe hai hum pal pal
deke tujhe sari khushiya kar gaye khali daman

waqt ayega ek din tujhe ye samjhane ke liye
ajiz hogaye they hum har dard ko seene se lagane ke liye
alfaaz ro rahe they aaj hamare apna gum sunane ke liye
 
Top