Ajnabi hi ban kar dua salam ker jana....!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
Tum jao hum se door to ek kaam ker jana
Kuch pal apne hamare naam ker jana...
...
Agar aa jaye mout hame aap k ane se pehle
To aa ker mere janaze ka dedaar kar jana...
...
Na rona iss qadar k takleef ho hame..
Mout ko bhi mazaq samajh ker anjan ban jana...
..
Main ek din so jaoonga sadaa k liye..
Phir mujhe bewafa keh ker badnaam kar jana..
...
Jo guzro meri qabar se to nazrein na phairna..
Ajnabi hi ban kar dua salam ker jana....!!!
 
Top