aisa pyar na kiya karo ....!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
Tum na aaya karo mera dil behlaane ko
ki mera dil behak sa jaata ha
vaqt tham sa jaata hai
ek nasha sa ho jaata hai ..
...
aa kar tum apni baaton se
mujh ko na uljhaya karo
apne sawaloan ki bhool bhalaiya main
mujh ko na ghumaya karo ...
..
apni pyari si muskurahat se
mujhe na youn mara karo
hum to tujh pe marte hai pehle se
aur zulm na dhaya karo ...
..
aa kar apne hathon se
hum ko yooun na pakda karo
pyar mein pagal ho jaaye tere
aisa pyar na kiya karo ....!!!
 
Top