Aisa Kabhi Na Kerna

Tum Routh Jao Mujhse
Aisa Kabhi Na Kerna

Main Ek Nazar Ko Tarsoon
Aisa Kabhi Na Kerna

Main Pooch Pooch Haroon
So So Sawal Kar K

Tum Kuch Jawab Na Do
Aisa Kabhi Na Kerna

Mujhse Hi Mil K Hansna
Mujhse Hi Mil K Rona

Mujhse Bicher K Jee Lo
Aisa Kabhi Na Kerna

Tum Chand Ban K Rehna
Main Dekhti Rahoon Gi

Kisi Roz Tum Na Niklo
Aisa Kabhi Na Kerna

Tum Chalay Jao Jab Bhi
Tu Dekhoon Tumhara Rasta

Tum Loat K Na Aao
Aisa Kabhi Na Karna
 
Top