Aik lazzat zubaan mein rakhiye,

Aate lamhon ko dhyaan mein rakhiye,
Teer kuchh tou kamaan mein rakhiye,
Aik turshi byaan mein rakhiye,
Aik lazzat zubaan mein rakhiye,
Yun bhi nazdeekiyan nikharti hain,
Faasle darmiyaan mein rakhiye,
Varnaa parvaaz bhool jaayeinge,
Inn parron ko udaan mein rakhiye,
Aap apni zameen se duur na ho,
Khud ko yun aasmaan mein rakhiye,
Har kharidaar khud ko pehchaane,
Ainay bhi dukaan mein rakhiye
 
Top