Ai maut ! Unhein bhulaaye zamaane guzar gaye

Pardeep

๑۩۩๑┼●ℛŐŶ
Ai maut! Unhein bhulaaye zamaane guzar gaye
Aa jaa ki ab zahar khaaye zamaane guzar gaye
O jaane vaale aa ki tere intazaar mein
Raste ko ghar banaaye zamaane guzar gaye
Gam hai na ab khushii hai na ummiid hai na aas
Sab se najaat paaye zamaane guzar gaye
Kyaa laayaq-e-sitam bhii nahiin ab main doston
Patthar bhii ghar mein aaye zamaane guzar gaye
Jaane bahaar phuul nahiin aadamii huun main
Aa jaa ki ab muskuraaye zamaane guzar gaye
Kyaa kyaa tavaqqoat thii aahon se ai 'khumar'
Ye tiir bhii chalaaye zamaane guzar gaye
 
Top