ai ishq hamen barbaad na kar

ai ishq na chheD aa aa ke hamen
ham bhuule huon ko yaad na kar
pahale hii bahut naashad hain ham
tuu aur hamen naashaad na kar
qismat kaa sitam hii kam nahiin kuchh
ye taazaa sitam ijaad na kar
yuuN zulm na kar bedaad na kar
ai ishq hamen barbaad na kar

jis din se mile hain donon kaa
sab chain gayaa aaraam gayaa
cheharon se bahaar-e-subah ga_ii
aaNkhon se faroG-e-shaam gayaa
haathon se Khushii kaa jaam chhuuTaa
honThon se haNsii kaa naam gayaa
GamGiin na banaa naashaad na kar
ai ishq hamen barbaad na kar

raaton ko uTh uTh rote hain
ro ro kar duaayen karate hain
aaNkhon mein tasavvur dil meiin Khalish
sar dhunate hain aahen bharate hain
ai ishq ye kaisaa rog lagaa
jiite hain na zaalim marate hain
ye zulm to ai jallaad na kar
ai ishq hamen barbaad na kar

ye rog lagaa hai jab se hamen
ranjiidaa huuN main biimaar hai vo
har vaqt tapish har vaqt Khalish
be-Khvaab huuN main bedaar ha vo
jiine se idhar bezaar huuN main
maranbe pe udhar tayyaar hai vo
aur zabt kahe fariyaad na kar
ai ishq hamen barbaad na kar

bedard zaraa insaaf to kar
is umr mein aur maGmuum hai vo
phuulon kii tarah naazuk hai abhii
taaron kii tarah masuum hai vo
ye husn sitam ye ranj Gazab
majabuur huuN main mazaluum hai vo
mazaluum pe yuuN bedaad na kar
ai ishq hamen barbaad na kar

ai ishq Khudaaraa dekh kahiin
vo shoKh hasiin badanaam na ho
vo maah-e-laqaa badanaam na ho
vo zohraa-jabiin badanaam na ho
naamuus kaa us ko paas rahe
vo pardaa-nashiin badanaam na ho
us pardaa-nashiin ko yaad na kar
ai ishq hamen barbaad na kar

ummiid kii jhuuThii jannat ke
rah rah ke na dikhalaa Khvaab hamen
aa_iindaa ke farzii ishrat ke
vaade se na kar betaab hamen
kahataa hai zamaanaa jis ko Khushii
aatii hai nazar kaamayaab hamen
chhoD aisii Khushii ko yaad na kar
ai ishq hamen barbaad na kar

do din hii mein ahad-e-tifalii ke
maasuum zamaane bhuul gaye
aaNkhon se vo KhushiyaaN miT sii ga_iin
lab ke vo taraane bhuul gaye
un paak bahishtii Khvaabon ke
dilchasp fasaane bhuul gaye
un Khvaabon se yuuN aazaad na kar
ai ishq hamen barbaad na kar

aaNkhon ko ye kyaa aazaar huaa
har jazb-e-nihaaN par ro denaa
aahang-e-tarab pe jhuk jaanaa
aavaaz-e-fuGaaN par ro denaa
barbat kii sadaa par ro denaa
mutrib ke bayaaN par ro denaa
ehasaas ko Gam buniyaad na kar
ai ishq hamen barbaad na kar

jii chaahataa hai ik duusare ko
yuuN aaTh pahar ham karen
aaNkhon mein basaayen Khvaabon ko
aur dil ko Khayaal aabaad karen
Khilvat mein bhii jo jalvat kaa saamaaN
vahadat ko du_ii se shaad karen
ye aarazuuen ijaad na kar
ai ishq hamen barbaad na kar

vo raaz hai ye Gam aah jise
paa jaaye ko_ii to Khair nahiin
aaNkhon se jab aaNsuu bahate hain
aa jaaye ko_ii to Khair nahiin
zaalim hai ye duniyaa dil ko
yahaa.N bhaa jaaye ko_ii Khair nahiin
hai zulm magar fariyaad na kar
ai ishq hamen barbaad na kar

duniyaa kaa tamaashaa dekh liyaa
GamGiin sii hai betaab sii hai
ummiid yahaaN ik vaham sii hai
taskiin yahaaN ik Khvaab sii hai
duniyaa mein Khushii kaa naam nahiin
duniyaa mein Khushii nayaab sii hai
duniyaa mein Khushii ko yaad na kar
ai ishq hamen barbaad na kar
ai ishq hamen barbaad na kar

 
Top