abke bhi na roya tu to mar jayega....!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
duniya se maayus hoke kidhar jaayega...
ye dil to toot ke bikhar jaayega....
..
wo chal diya hai akela tujhe chhodkar...
jalim duniya ki bheed se tu dar jayega...
..
aayega tujhe karaar fir badnaam hokar...
rote huye tu abke khuda ke ghar jayega....
..
tujhe hoga yakin uske aaney par ab bhi...
par shaatir hai wo is baar bhi mukar jayega....
...
hua jo ab tak tu bhoolta kyun nahi...
zakham jo gehra hai fir se bhar jayega...
..
hanskar seh gaya tu har gham..
abke bhi na roya tu to mar jayega....!!!
 
Top