abhi ye...... reshmi dariyaa..... pahaadon mein hi bahtaa ha

~¤Akash¤~

Prime VIP
usi din ghar nahin aataa..... ki ....jab..... aane ko kahtaa hai;
magar.... kyaa roothnaa us se..... wo... apni dhun mein rahtaa hai.

mudaaraat-e-alam mein...... wo .....nahiin shirqat kaa kuchh qaayal;
na apne dukh bataataa hai ....na ......mere ranj sahtaa hai.

lab-e-khaamosh...., chashm-e-khushk...... kyaa samjhaayenge tujhko;
jo baarish dil mein hoti hai..... jo dariyaa...... dil mein bahtaa hai.

mujhe tujhse judaa rakhtaa hai..... aur..... dukh tak nahin hotaa;
mere andar...... tere jaisaa...... ye aakhir..... kaun rahtaa hai.

khayaal-e-yaar..... abhi raushan...... abhi nazaron se ojhal hai;
abhi ye...... reshmi dariyaa..... pahaadon mein hi bahtaa hai....

PARVEEN SHAAKIR
mudaaraat-e-alam=dukhon ki daawat
 
Top