ab un pe koi harf na aaye Khuda kare

~¤Akash¤~

Prime VIP
tu bhi kisi ka pyaar na paaye Khuda kare
tujh ko tera naseeb rulaaye Khuda kare

raaton mein tujh ko neend na aaye Khuda kare
tu dar-ba-dar ki thokaren khaaye Khuda kare

aaye bahaar tere gulistaan meinm baar baar
tujh par kabhi nikhaar na aaye Khuda kare

meri tarah tujhe bhi jawaani mein gham mile
tera na koi saath nibhaaye Khuda kare

manzil kabhi bhi pyaar ki tujh ko na mil sake
tu bhi dua ko haath uthaaye Khuda kare

tujh par shab-e-visaal ki raaten haraam hon
shammen jalaa jalaa ke bujhaaye Khuda kare

ho jaayen bad-duaayen meri dosto galat
ab un pe koi harf na aaye Khuda kare
 
Top