Ab to wo bhi isse aur badhana chahate hai...!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
Najane kyu khatam nahi hota yeh safar mera,
Ab to tanha hum akele hi chale jate hai,
Najane kyu nahi banjata ye jism raakh mera,
Ab to hum teri yaadon mai jale jate hai...
...
Najane kyu chahate hai hum kuch rab se,
Ab to kya kahe badle mai hum kya paate hai,
Najane kyu de jate hai gehre zakham apne hi,
Ab to apno ki yaad mai hi rote reh jate hai...
...
Najane kyu apni yaadon mai hamesha paata hu tumko,
Ab to jab bhi ankhen kholu... tanha khud ko paate hai,
Najane kyu chahat hai humko tumse itni,
Ab to dard hota hai tumko ansoon humare nikal aate hai...
...
Najane kaha kho gaya yeh dil mera,
Ab kisi se puche to jawab yeh hi pate hai,
Najane kis mulakaat ke intzaar mai reh gaye hum,
Ab to aksar log intzaar mai hi reh jate hai...
...
Najane kyu keh na saka mai baaten wo,
Ab to wo bhi humme samjhna nahi chahate hai,
Najane kyu aa gayi yeh dooriyan hamare beech,
Ab to wo bhi isse aur badhana chahate hai...!!!
 
Top