ab to dikha de meri kashti ko wo kinaara..

~¤Akash¤~

Prime VIP
koi kahe mujhko dil-fenk..
to samajhein humein aawara naakaara anek..

guzrein jb unki galiyon se hum..
wo kar lein humse parda samajh k humein
wahi aawaaraa..

ab kaise samjhayein unko hum..
kaise karein unhein haal-e-dil bayaan apna..

duniya ne to humein hai badnaam kar daala..
log aaj bhi samjhein humein wahi aawaara wahi naakaara..

jb yaad unki aati hai..
sang apne unki khushbu laati hai..

koshishein to laakhon ki hongi humnein..
baar-baar socha
izhaar-e-bayaan apne ishq ka karein kaise..

darr hai magar humein unse roo-ba-roo ka..
saham se jaate hain kadam jb saamne deedar unke hote hain..

yahi khayaal baar-baar dil mein utar aata hai..
ki kaash humnein kabhi aawaaragardi ki na hoti..

to shaayad aaj ye hamaari maashooka hotin..
inkii chahat ne to badal daale hamaaare rang..

humein to badal daala..
par jo na badala wo tha is zamaane ka dhang..

aaj bhi ye kahein hain humein
wahi paagal, wahi aawara, wahi naakaara..
kya yeh jaan kar kabhi dengi wo hamaari chahat ko sahaara..

aaj bhi dil mein liye yeh sapna unki raah taakta hun..
koi bataao mere yaar ko main usko kitna chahtaa hun..

kaise karein saakaar hum sapna apna..
mere malik raham kar mujhpe..
ab to dikha de meri kashti ko wo kinaara..
 
Top