Ab Jubaa'n Belagaam Rakhne Laga Hu'n

Gunaaho'n ke hisaab tamaam rakhne laga hu'n
Ab apne kaam se kaam rakhne laga hu'n

Kisi ki galtiya nahi janta ab
Khud par hi sare ilzaam rakhne laga hu'n

Bhale chhota parinda hu'n par honsla bahut hai
Unchi parwaj unche mukaam rakhne laga hu'n

Jab shaleen tha sabne sataya tha bahut
Isliye ab jubaa'n belagaam rakhne laga hu'n.

-
Unknown
 
Top