ab aur....... nazaare .....humein... lagte hain paraaye.....

~¤Akash¤~

Prime VIP
ye sach hai.... ki .....paanvon ne... bahut kasht uthaaye;
par....... paanv kisi tarah se....... raahon pe to aaye.

haathon mein...... angaaron ko liye..... soch rahaa thaa ;
koi..... mujhe..... angaaron ki ........taaseer bataaye.

jaise..... kisi bachche ko...... khilone na mile hon;
firtaa hoon...... kayee yaadon ko..... seene se lagaaye.

chattaano se ....paanvon ko..... bachaa kar nahin chalte;
sahme huye paanvon se....... lipat jaate hain saaye.

yun pahle bhi ........apnaa saa... yahaan ......kuchh to nahin thaa;
ab aur....... nazaare .....humein... lagte hain paraaye.......

DUSHYANT KUMAR
 
Top