Aashiyaane hum bhi banaate rahe

Bijliiyaan aksar vo giraate rahe
Aashiyaane hum bhi banaate rahe

- – - – - – - – - – - – - – - –

Kitni mujhko aap se umeede thi
Kitnaa aap mujh ko rulaate rahe

- – - – - – - – - – - – - – - –

Dekhta raha main ek phool ko
Khayaal mujhko aapke aate rahe

- – - – - – - – - – - – - – - –

Aapke dil ko Khuda humne kaha
Aap mere dil ko dukhaate rahe

- – - – - – - – - – - – - – - –

Kaati is tarah se humne zindagi
Diye jalaa-jalaa ke bhujhaate rahe

- – - – - – - – - – - – - – - –

Hum bhi sun ke an-suni karte rahe
Samjhaane waale humko samjhaate rahe

- – - – - – - – - – - – - – - –

Dil gawaya barson pehle ishq mein
Jaan se bhi aaj hum jaate rahe

- – - – - – - – - – - – - – - –

Duniya deewana kahegi
Yuh hi agar share hum sunaate rahe…

- – - – - – - – - – - – - – - –
 
Top