aap ko itni shiddat se chahe aisa is jahaan mein humsa koi n

~¤Akash¤~

Prime VIP
Gila taqdeer se hai mujhe aapse nahin,
Bebus mujhe dil ne banaya mohabat ne nahin,..
...
Kasoor mujhse hua lehron ka kasoor nahin,
kyu ret pe likha naam humne lehron se bachaya nahin,
..
Aankh hamari ro padi aapne rulaya nahin,..
aapki yaad ka badal hai barasne se rukta nahin,..
..
wada kaun sa aapne kiya tha jo nibhaya nahin,
aapki kaun si baat pe humko aitbaar nahin,..
...
na kehna kabhi aapko chahne wala koi nahin,..
aap ko itni shiddat se chahe aisa is jahaan mein humsa koi nahin....!!!
 
Top