Aandhiya aati thi lekin kabhi aisa na huwa, Khauf ke maare j

~¤Akash¤~

Prime VIP
Aandhiya aati thi lekin kabhi aisa na huwa,
Khauf ke maare juda shaakh se patta na huwa !

Waqt ki dor ko thaame rahe mazbooti se,
Aur jab chhooti to afsos bhi iska na huwa !!

Raat ko din se milane ki hawas thi hamko,
Kaam achcha na tha anzaam bhi achcha na huwa !!

Khoob duniya he ke sooraj se rakaabat thi jinhe,
Unko haasil kisi deewar ka saya na huwa !!
 
Top