Aaj Is kadar uske khato ko jlaya maine...........

~¤Akash¤~

Prime VIP
Ek hi khwaab ko ankho me kayi bar sjaya maine
Apne hi ashko se phir us khwaab ko mitaya maine
Raah ke jis mod par badal gayi thi manzil meri
Aaj Phir usi raah par kadam ko uthaya maine
Jo tha masiha mera, aaj use pathar keh diya
Na chahte huye bhi julm kamaya maine
Ek tarf mot hai or ek tarf basar tanha
Pyar me kya kahu ki kya paya maine
Dhuan hi dhuan uthta raha magar aag na jal payi
Aaj Is kadar uske khato ko jlaya maine...........
 
Top