Aaj bhi zulfein sukhane chaand khidki par nikal ataa hai..

~¤Akash¤~

Prime VIP
Kabhi unki sangat me dil ki dhadkan nahin thi thamti
Aaj unke na rehne par wohi dil munh ko ataa hai…


Kabhi unki aanhon main unki khushi humko thi dikhti
Aaj humari aanhein sun kar unhein mazaa aata hai…

Kabhi to kiya tha mohabbat ka izhaar yun tumne ..
Aaj kyun phir tu mujhe bewafa sa nazar aata hai…

Suna hai unke ghar main shamaa kabhi nahin bhujti..
Aaj kyun ghar main ek diya bhi nazar nahin aata hai

Bade beraham hain itna reham kiya karte hain hum par..
Aaj bhi zulfein sukhane chaand khidki par nikal ataa hai..
 
Top