aaj aazaad kiya haey hum nain

~¤Akash¤~

Prime VIP
jub usay yaad kiya haey hum nain
waqt burbaad kiya haey hum nain

ek sheher faut aarzu'on ka
dil main aabaad kya haey hum nain

aitaraaf-e-shikust hum ko na tha
ye teray baad kiya haey hum nain

hum ko iqrar-e-jurm haey yaaroan
khud ko burbaad kiya haey hum nain

qulb main tukhm-e-ishq ko bo ker
rait ko khaad kiya haey hum nain

tum giriftar-e-wafa thay
aaj aazaad kiya haey hum nain
 
Top