Aa paas ke dekh lun tujh ko kareeb se

~¤Akash¤~

Prime VIP
Tum aur fareb khao bayan-e-raqib se
Tum se to kum gila hai ziyada nasib se

Goya tumhari yaad hi mera ilaj hai
Hota hai paharon zikr tumhara tabib se

Barbad-e-dil ka akhiri sarmaya thi ummid
Vo bhi to tum ne chin liya mujh garib se

Dhundhala chali nigah dam-e-vapasi hai ab
Aa paas ke dekh lun tujh ko kareeb se
 
Top