Lyrics ♥ Tumhe apna banaane ki kasam Khaayi hai ♥

rickybadboy

Well-known member
Tumhe apna banaane ki kasam
Khaayi hai, khaayi hai] - 2
Teri aankhon mein chaahat hi nazar
Aayi hai, aayi hai

Tumhe apna banaane ki kasam
Khaayi hai, khaayi hai
Mohabbat kya hai main sab ko bata doongi - 2
Zamaane ko tere aage jhuka doongi
[Teri ulfat meri jaana voh rang
Laayi hai, laayi hai] - 2

Tumhe apna banaane ki kasam
Khaayi hai, khaayi hai
Tere honton se main shabnam churaaoonga - 2
Tere aanchal tale jeevan bitaaoonga
[Meri nas nas mein tu banke lahoon
Samaayi hai, samaayi hai] - 2


Tumhe apna banaane ki kasam
Khaayi hai, khaayi hai
Teri aankhon mein chaahat hi nazar
Aayi hai, aayi hai

Tumhe apna banaane ki kasam
Khaayi hai, khaayi hai


 
Top