Lyrics Mohd. Irfan - Banjara - Ek Villain - 2014

[JUGRAJ SINGH]

Prime VIP
Staff member
Haan kisi shayar ki ghazal
Jo de rooh ko sukoon ke pal
Koi mujhko yun mila hai, jaise banjare ko ghar
Be mausam ki sehar, ya sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hai, jaise banjare ko ghar
Hmm…
(Instrumental Break)
(Andhere ko andhera nahi sirf rohsni mita sakti hai
Nafrat ko nafrat nahi, sirf pyaar mita sakta hai)
Jaise koi kinara deta ho sahara,
Mujhe woh mila kisi mod par
Koi raat ka taara karta ho jaana
Waise hi roshan kare,woh sehar
Dard mere woh bhoola hi gaya Kuch aise asar huya,
Jeena mujhe phirse woh sikha raha
Hmm jaise baarish kar de tar, ya marham dard par
Koi mujhko yun mila hai, jaise banjare ko ghar
Koi mujhko yun mila hai, jaise banjare ko ghar
Jaise banjare ko ghar
Jaise banjare ko ghar
Jaise banjare ko ghar

 
Top