Lyrics Main Hoon Shab - Tezz

Piya19

Member
Main hoon shab, tu hai subah
Ishq main, tu hai jahan
Main hoon lub, tu hai dua
Main zameen, tu aasmaan
Tum mile, mil gaye do jahan
Darmiyaan faasla na raha

Tere saaye mein tere saaye mein
Meri umar kat jaaye sanam
Meri umar kat jaaye sanam
Teri bahon teri rahon mein
Teri bahon teri rahon mein
Meri umar kat jaaye sanam
Tere saaye mein tere saaye mein
Meri umar kat jaaye sanam

Kyun aaj bheegi bheegi chandani hai
Chere pe chaand jaisi roshini hai
Ho..kyun aaj bheegi bheegi chandani hai
Chere pe chaand jaisi roshini hai
Kadmon mein beech gaya aasmaan bhi
Tu ruburu hai kuch bhi na kami hai
Tum mile mil gaye..
Tum mile, mil gaye do jahan
Darmiyaan faasla na raha

Tere saaye mein tere saaye mein
Meri umar kat jaaye sanam
Tere saaye mein tere saaye mein
Meri umar kat jaaye sanam

Khwaabon mein doobey dono sahilon ke
Rastey nazar toh aaye manzilon ke
Ho..khwaabon mein doobey dono sahilon ke
Rastey nazar toh aaye manzilon ke
Hasrat rahi na ab toh koyi baaki
Pure huye hai armaan do dilon ke
Tum mile mil gaye..
Tum mile, mil gaye do jahan
Darmiyaan faasla na raha

Tere saaye mein tere saaye mein
Meri umar kat jaaye sanam
Tere saaye mein tere saaye mein
Meri umar kat jaaye sanam
Teri bahon teri rahon mein
Teri bahon teri rahon mein
Meri umar kat jaaye sanam
Tere saaye mein tere saaye mein
Meri umar kat jaaye sanam
 
Top